Unko karib lane k chaah main,
Sabse dur hote gaye,
Wo karib na aaye,
Sab dur chale gaye.
Paas jaane k chaah main, unke
Sabse dur ho gaye,
Sabse anzaan bante gaye,
Wo hume anzaan kahe gaye.
Har khusi unki dekhne k liye,
Har waqt dur rahe unke nazroon se hum.
Jaan na paa-e wo hume,
Bhul gayi hume, do pal kya jo dur ho gaye hum.
Kitni kosisho k baad manaya,
Milne ko khudse,
Uss Milan main bhi bechadna tha,
Unko mujse.
Hum tho bas unhe kuch kehana chahate,
Per wo humse kuch sunna na chahate,
Khwaab main tho der raat baate kar leta,
Saamne unke main kuch bool na pata.
Kaise karu main bayaan labo se,
Karta tha main pyaar dil se,
Kash samaj jaati pyaar ko mere,
Na hona padta mujhe dur apno se.

Comments

Popular Posts